Hazrat Yusuf Hamdani
Rahmatullah Alayh
Aap ka naam graami Yousuf aur kuniat Abu Yaqoob hai. Aap ki wiladat sunah 440 Hjri mein Hamdan ke nawahi qasba Bor Najrd mein hui. Aap Hazrat Abu Ali Farmadi Rahmatullah Alay ke khalifa, Shariat o tareqat ke jame aur tarbiyat mein zarb al misal thay. Barray barray ulama tarbiyat ke liye aap ke paas haazir hotay thay .
Aap Rahmatullah Alayh athaara (18) saal ki Umar mein baghdad aaye. Yahan aap ne Abu Ishaq Sherazi se fiqa ki taleem haasil ki aur usool fiqa o mazhab mein maahir ho gaye. Qaazi Abual Hasnin Mohammad Ali , Abdal Samad bin Ali bin Mamon aur Abu Jaffer bin Ahmed ban Musalmah se Samaa hadees kya .
Aap Rahmatullah Alayh Aalam, Amel , Arif, Zahid , Parhaizgaar, Abid, Sahib haal aur Sahib karamat thay. Apne waqt ke sarkardah mashaiakh mein aap ka shumaar hota tha. Khurasaan mein mureedon ki tarbiyat aap jaisi kisi ne nah ki. Aap ki majlis mein ulma o sulha ka bohat bara ijtima rehta tha. Sab log aap ke irshad o kalaam se istifada karte thay .
Hazrat khwaja Yousuf Hamdani Rahmatullah Alayh ki terhan Huzoor Syes Ghoas ul Azam Rahmatullah Alayh Bhi athaara (18) saal ki Umar mein husool e ilm ke liye apne watan se baghdad tashreef laaye thay. Jab aap tehseel e ilm se farigh ho chukay to aik roz Hazrat khwaja Yousuf Rahmatullah Alayh se un ki mulaqaat hui jisay Hazrat Ghaus ul Aazm Rahmatullah Alayh ne yun supurd qalam farmaya hai
Baghdad mein 1 shakhs hamdan se aya hai jisay log Yousuf Hamdani Rahmatullah Alayh kehte thay aur kaha jata tha ke woh Qutub hain. Woh aik musafar khane mein utre. Jab mein ne yeh haal suna tu musafer khane gaya maga un ko nah paaya. Daryaft karne par maloom huwa kay woh Sardaab mein hain. Pas mein wahan pohncha tu mujhe dekh kar kharray hogaye aur apnay paas bithaya. Mere tamam halaat mujh se zikar kiye aur meri mushkilaat ko hal farmaya phir mujh. se yun irshad hue : ae Abdul Qadar ! Tum logon ko waaz sunia karo. Mein ne arz ki aaqa mein ajmi hon. Ahal baghdad ki fasahat o balaghat ke samnay meri guftgo ki kya hesiyat hai. Yeh sun kar aap ne farmaya ab tum ko fiqa, usool e fiqa, ikhtilaaf e mazahab, nah o lughat aur Tafseer e Quran yaad hai. Tum mein waaz kehnay ki salahiyat o qabliyat mojod_he. Barsar e mimbar logon ko waaz suniai karo kuynke mein tum mein aik jarr dekh raha hon jo anqareeb darakht ho jaye ga .
Aap Syed ul kamleen sahib e karamat walii thay. Aik dafaa aik aurat roti hui aap ke paas i aur arz kya kay farangi mere larke ko paker ke le gaye hain dua farmayia kay woh aajay. Aap ne farmaya saber karo aur ghar wapas jaakar dekho tumahra larka ghar main mujood_hai. Woh aurat jab wapas ghar pohanchi to dekha waqi is ka lerka ghar main mojood tha. Larke se haal daryaft kyia tu us ne batia mein abhi Kustuntunia mein qaad tha. Pehray daar ird gird majood thay kay achanak aik namaloom shakhs aaya aur mujh ko aankh jhapakty hi ghar pohancha diya. Is aurat ne aap ke paas aa kar tamaam waqay bayan kya. Aap ne farmaya tujhe hukum khuda se taajjub aata hai .
Aik dafaa aap waaz frma rhe thay waaz ki taseer se tamam majmaa mshoor tha. Doo faqhi bhi hazreen mein mojood thay. Woh yeh manzir bardashat nah kar sakay aur aap se kehnay lagey chup raho kay tum bidatti ho. Aap ne irshad kyia khamosh raho kay tumhe mout anay wali hai. Chunancha woh dono isi waqt isi jagah mar gaye .
Aap ne 17 rajab 536 hijri ko is darfani ko Khuda hafiz kaha aur Bamueen jo kay Harat aur Bagshoor ke darmiyan waqay hai supurd khaak hue. Kuch arsa baad aap ke aik mureed e khas Ibn al Najar ne aap ke jasde khaki ko Maru mein le jaakar supurd e khaak kar diya jahan aaj mazaar muqaddas mojood hai .